aaj hum chah ker bhi wo raat pa nahi sakte ..
vatan se door hoker sondhi mitti ki khusboo ko pa nahi sakte.
dooriyon ne bhi ab hamse kinara ker liya hai.
chah ker bhi aaj apna bachpan pa nahi sakte,,,,,
hum apne formule banate gaye ,
kudrat apna roop gadti rahi,
aaj pata chala jab peeche mud ker dhekha,
hum hamesha galat the, aur kudrat hamesha sahi.............
wo kheto me khelna ,wo nani k yahan jana
kahani ki jid ker nani k sath sona ,,
wo chasma chupana ,wo gud ka churana
sochte hai un dino ko aaj bhi???
per muskil hai pana,
wo dada ka chasma , wo dadi ki chadi chupana
wo khatye pe sona ,wo chup chup k rona ,
wo mousi ka dhatna ,wo mama ka sehlana
bada yaad aata hai ,apna jawana purana...........
wo mallo ki picnik ka kheto me hona .
Macdonals k jagah bati chokha ka hona.
wo hare khet ,aur kheton ki chidya
wo diwali k patahke aur holi ki ghujiya .
wo haro ko potna ,wo gharo ko sajana
bada yaad aata hai jawana purana..........
wo guru ji ka marna . aur aaya ji ka dhatna,
wo college ka gola maar jungle jalebi khana
wo reeta ka rona aur seeeta ka chup karana
bada yaad aata hai jamana purana..............
wo kheto ki medhe ,wo khula aasman
taro ko gin ker wo ratain gujarana..
wo kabbdi aur kachudi k liye maar kerna
wo pede ki chori aur gud ka churana ,
wo shawer k badle tubewell me nahana..
mango slice k badle bagho me jana,
balti me bhigoye hue aamo ko khana.
wo gaye , wo bhaise, wo chara , wo gober
wo kehna angreji me ..this is real nature
wo subha neerali, wo dhoti pehnna
buddu k beach me baithker taash khelna.
ab na rahe wo din jab hum nange paanv douda kerte the.
ab badla gaya samye aur badal gaya jamana
per sach................................
bada yaad ata hai jamana puranaaaaaa.
Amit kumar singh
+91-9450791001
hiiiiiiiiiiiiiiiiii
ReplyDelete